Woh Saathi
Mere dil ne puchha tha kal yunhi mujhse
akeli hun kyon main is rahguzar men
jise saath leke chaloon har safar men
woh saathi kahan hai, woh saathi kahan hai
Wo jiski khamoshi men bhi raunaqe hain
wo jiski hansi men kai kahkahen hain
wo jiski har aahat men chahat rawaan hai
wo saathi kahan hai, wo saathi kahan hai
Wo jiske qadam saath chalte hain mere
jo chahat ki galiyon men karta hai phere
wo jiski nazar se muhabbat jawaan hai
wo saathi kahan hai, wo saathi kahan hai
main kya bolti lafz tum ho mere to
dhadkan ke har taar se tum jude ho
tere naam se hi hai roshan ye duniya
tere khwaab se hai saji har tamanna
kahin sun liya jo agar zikr tera
dhadakta hai ye dil machalte hain armaan
main kahti hoon sabse tu mera jahaan hai
meri tu zameen, tu mera aasmaan hai
wo har raah pe jo mera hamsafar hai
wo saathi tu hi to, tu hi meharbaan hai

No comments:
Post a Comment