Thursday, September 17, 2009

Shaam aur tanhayi

Shaam aur tanhayi

Aaj phir shaam hai tanhaayi hai
baith kar dekhti hoon haathon ko
in lakeeron se mujhe phir se shanasaayi hai
baandh daala hai jisne yaadon ko
aaj us ranj se mukhatib hoon
dil men giriya ne hook uthayi hai
phir wohi shaam hai tanhaayi hai.

Dil lagaya jo tha na socha tha
dard mahnga padega kitna mujhe
khwaab kya kya na maine dekhe the
ab to lagta hai saare lut se gaye
tanha rahne ko ji nahi karta
lekin kismat hi aisi paayi hai
phir wohi shaam hai tanhaayi hai.

Shaam ke waqt yaad karti hoon
wo beete waqt ki rangeen baaten
aajkal phir se muskurati hain
wo puraani shaam wo meethi yaaden
shaam hote hi dil machalta hai
jab bhi saawan ki ghata chhaayi hai
phir wohi shaam hai tanhaayi hai.

No comments: