Monday, February 09, 2009

Ek baat

Ek Baat

Mere dil men dabi thi jo baat arse se

aa hi gayi aaj khulkar woh saamne

ye mera paagalpan hai ya hai ye deewangi

na chahte hue bhi lab ladkhada gaye

jo na chaha tha kahna woh kah diya

tumhen apna haal e dil suna gaye

na socha tha kabhi aisa bhi hoga

ajnabee the jo jaanashin ban gaye

kaisi hai ye chahat, ye kaisa ehsaas hai

aankhon men ratjage hain labon pe pyaas hai

bas ek hi baat kahni hai tumse

ki tum bas gaye ho meri dhadkano men

kaash tumse ham khulkar kah paate

saath tumhare kuchh der aur rah paate

aur kuchh nahin to itna bata do

apne dil ka hamen kuchh to pata do

chand lamhon ka hi sahi magar saath to do

jhootha hi sahi thoda sa pyaar to do

ki ab meri zindagi hai tere dam se.....

Main……. Kaun hoon main? Ek ajeeb sa sawaal hai par iska jawaab hoon main. 
Main udasi bhi hoon aur khushi bhi hoon Dard hoon main to zindagi bhi hoon 
Jo kabhi baj na sake aisa ek saaz hoon main Har tarannum men jo shamil ho woh aawaz hoon main 
Main kabhi khwabon ki duniya men jaake rahti hoon 
To kabhi bheed men bhi main tanha chalti hoon 
Hai agar ishq mujhe phoolon ki sohbat se Kaanto ke husn ki bhi main shaidai hoon
Kabhi chalta hai baharon ka samaan saath mere 
Kabhi goonjti meelo talak tanhai hai 
paon men chhale hai chalti hoon phir bhi angaaron par 
dard ki parwa kise kaun hai poochhne wala dard kahta hai mujhse aao ham dost bane tanha raahon par milke ek saath chalen 
main woh kaagaz hoon jo ki kabhi jal na sake main woh hasti hoon jo kabhi bhi mit na sake saath mere baharon ka samaan chalta hai meri har raah ko aasmaan chunta hai 
Tanha rahti hoon magar phir bhi nahin tanha hoon 
Hoon nahin aur kuchh main to bas ek insaan hoon.