Wednesday, September 16, 2009

Kaarwaan

nikhri hui faza men har raah khushnuma hai,
raahi magar kahan hai kisko yahan pata hai

jis raah pe chale ham, yaadon ka kaarwaan hai.
inko mita ke jana mumkin magar kahan hai

har shaakh pe hai bulbul, har phool ghuncha sa hai
har mod pe hawa ki aahat si hamnawa hai

jis simt dekhte hain unki nazar numaan hai
ham aaj bhi wahin hain aur saath kaarwaan hai

1 comment:

satyarafi said...

Behtarin :)