Wednesday, February 03, 2010

Sada

Kitni khamosh si raunkaq jahaan men bikhri hai
isko sunke mere dil se ye sada aayi hai
bhool gayi thi jo benoor jafa ki galiyaan
phir se lagta hai ab unse shanasaayi hai
jiske saaye se bhi main bach ke chala karti hoon
aaj phir us gunaah ki yaad aayi hai
tamanna-e-deed jiski meri aankhon men hai
aaj phir uski muhabbat se chot paayi hai

No comments: