kaash koi samajh sakta
in gehre jazbaaton ko
kaash koi samajh sakta
phoolon men khushboo kyon hai
titli kyon uspe marti hai
kaash koi samajh sakta
saagar ki lahron men
itni mauseeqi kyon hai
kaash koi samajh sakta
par kya karoon kisko kahoon kuchh
waqt bhi to nahi hai kisi ke paas
phir bhi ye umeed hai ki koi to samjhega
kabhi mere dil ki baat.....
No comments:
Post a Comment