Sunday, March 26, 2017

Aawara baadal

Khanakti hawa se tapakte sitaare, ye mausam mujhe aaj karta ishaare. Ye kal kal ke gaati hain jharne ki lahren, ye patton ki sar sar lagi aaj kahne

Ye barfili waadi jo jannat bani hai, har ek shai me iske muhabbat ghuli hai

Pedon ki shaakhon pe gaati hai bulbul, ye nadiya ki sargam me bajti hai paayal

Pahadon ki mitti se aati hai khushbu, baraf ne kiya hai ye mujhpe kya jaadu
Suhana lage hai har ek aaj manzar, ye waadi ye nadiya ye phool aur patthar

Mere dil ki dhadkan lagi mujhse kahne, yehi hai wo duniya jo tere liye hai.
Tu ruk ja yahan aur kar le basera, yahi wo jagah hai jahan dil hai tera

Magar main hoon badal jo rukta nahi hai, thahar jaun ek pal ye fitrat nahi hai
Hai is poori duniya me mera basera, ye sara jahan hi to hai ghar mera

No comments: