Ek Baat
Mere dil men dabi thi jo baat arse se
aa hi gayi aaj khulkar woh saamne
ye mera paagalpan hai ya hai ye deewangi
na chahte hue bhi lab ladkhada gaye
jo na chaha tha kahna woh kah diya
tumhen apna haal e dil suna gaye
na socha tha kabhi aisa bhi hoga
ajnabee the jo jaanashin ban gaye
kaisi hai ye chahat, ye kaisa ehsaas hai
aankhon men ratjage hain labon pe pyaas hai
bas ek hi baat kahni hai tumse
ki tum bas gaye ho meri dhadkano men
kaash tumse ham khulkar kah paate
saath tumhare kuchh der aur rah paate
aur kuchh nahin to itna bata do
apne dil ka hamen kuchh to pata do
chand lamhon ka hi sahi magar saath to do
jhootha hi sahi thoda sa pyaar to do
ki ab meri zindagi hai tere dam se.....
No comments:
Post a Comment